bas yahi soch ke khaamosh main reh jata hoon
ke kisi roz toh iss baare mein tum sochogi
main tumhe dekh ke kyon aise machal jata hoon
jagmaga uth ti hai kyon meri nigaahen ekdum
main hamesha issi jaanib kyon chala aata hoon
kuchh toh kehna hai mujhe baat koi toh hogi
mujhse tum khud hi ishaaron se kabhi poochogi
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
ke agar hausala karke main tumhe keh bhi doon
toh kahi toot na jaaye yeh bharam karta hoon
jisne masoom banaya hai tumhare dil ko
jiske saye mein tumhe apana kaha karta hoon
yeh bharam gam ke dhuen mein na kahi kho jaaye
dil ke jasbi ki na tauheen kahi ho jaaye
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
yun agar sun bhi liya tumne meri baaton ko
yun agar sun bhi liya tumne meri baaton ko
thaam bhi logi chalo maana meri haathon ko
apani aankhon ke sitaaron se jagaogi mujhe
apani aagosh ki khushbu mein basaogi mujhe
aur jab tum meri pehchaan si ban jaaogi
jaan keh keh ke meri jaan si ban jaaogi
log aa jaayenge phir bich mein lekar rasmein
mujhse goomrah karenge tumhe karke bas mein
yeh bhi ho sakta hai duniya se tum takra jaao
yeh bhi ho sakta hai ruswaai se ghabra jaao
aur mumkin hai ke nazaron se gira do mujhkotum
hamesha ke liye dard bana do mujhko
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
1 comments:
ye gana mere dil ko bhi chu gaya tha jab maine ise pehle suna
Post a Comment